Sunday, February 14, 2010

Dinank 13 Feb 2010 ko Pune main hue Bomb blast se aahat main apni kavita prastut kar raha hun..

"ATANKVAD"

Aaj punah ek bam dhamaka..
Kahin pe hoti goli bari..
Vyathit hruday ko kar deti hai..
Aatank ki ye nayi bimaari..

Bam dhamake kahin bhi hon par..
Hain visfot dilon main hote..
Mere hi parivar ke marte..
Ghayal kitne log hain hote..

Aaj kiya hai jisne ye sab..
Nahi ye kya parivar hai uska.?..
Hruday todkar etne saare..
Swapn kaun saakar hai uska..?..

Manavta ki karun vyatha se..
Dil par hai ek bojh humare..
Aviral ashru bahen aankhon se..
Dhundhle mere shabd hain saare..

Aapki tippaniyon ka akankshi

Sadar..

DEEPAK..

Sunday, February 7, 2010

"TUM MERE KYA LAGTE HO"

Jab jab humne tumko dekha,
Tum apne se lagte ho,
Sang nahi par sath ho mere,
Tum mere kya lagte ho..

Apnon sa ho pyaar dikhate,
bahan sa ho adhikar jatate,
Bhai-Bandhu sa sath nibhate,
Sang humare chalte ho..
Tum mere kya lagte ho...

Sardi ki tum dhup ke jaise,
Rupmati ke rup ke jaise,
Eshwar ke swarup ke jaise..
Hruday main mere baste ho..
Tum mere kya lagte ho..

Swapnon main tum sang ho rahte,
Din bhar humse baaten karte,
Mere sang main tum ho hanste
Dukh mere tum harte ho..
Tum mere kya lagte ho..

Tum Eshwar ki krupa ke jaise,
Bimari main dawa ke jaise,
Lab par aayi dua ke jaise..
Sabse alag hi lagte ho..
Tum mere kya lagte ho..

'DEEPAK' ki jaise ho baati,
Sukh-dukh main mere tum sathi,
Koyal mrudu swar main jyon gaati,
Man ko mere harte ho..
Tum mere kya lagte ho..

Janm jo agla main jo paaun,
Tera mitr hi main ban jaun,
Hardam tera sath nibhaun,
Jaise tum sang rahte ho..
Tum mere kya lagte ho..

Aapki tippaniyon avam pyaar ka akankshi

Sadar..

DEEPAK SHUKLA..

LinkWithin

Related Posts with Thumbnails