Dinank 13 Feb 2010 ko Pune main hue Bomb blast se aahat main apni kavita prastut kar raha hun..
"ATANKVAD"
Aaj punah ek bam dhamaka..
Kahin pe hoti goli bari..
Vyathit hruday ko kar deti hai..
Aatank ki ye nayi bimaari..
Bam dhamake kahin bhi hon par..
Hain visfot dilon main hote..
Mere hi parivar ke marte..
Ghayal kitne log hain hote..
Aaj kiya hai jisne ye sab..
Nahi ye kya parivar hai uska.?..
Hruday todkar etne saare..
Swapn kaun saakar hai uska..?..
Manavta ki karun vyatha se..
Dil par hai ek bojh humare..
Aviral ashru bahen aankhon se..
Dhundhle mere shabd hain saare..
Aapki tippaniyon ka akankshi
Sadar..
DEEPAK..
7 comments:
aazkal ke halaton par marmik rachna..
ye rachna aapne meri post par tippani ke roop men dali hai...maine wahan bhi aapko aabhaar kaha...
aapka blog dekhane ki ichchha hui....behtareen rachna likhi hai aapne atankwaad ke upar.....par haalaat se jaise hamsabne samjhauta sa kar liya hai....
आज के समय का सच आप अच्छा लिखते हैं।मगर इसे हिन्दी मे क्यों नही लिखा? होली की हार्दिक शुभकामनायें
दीपक भाई... कविता बहुत अच्छी लगी.... और आपका लेखन भी....
और हां! प्लीज़ हिंदी में लिखिए ना.....
मुझे mailtomahfooz@gmail.com पर ज्वाइन करिए... बड़ा अच्छा लगेगा आपसे मिलकर....
Deepak ji ,
aapka blog dekha aur aapke baare mein jana ,achchha laga, atankvaad ki sthiti sabhi samvedansheel hridayon ko jhakjhorti hai.. aapne us vyatha ko shabdon mein behatreen tareeke se bandha hai ..bahut bahut badhayi ..friends list mein aapko sthan de kar khushi hogi mujhe
regards
Mudita
Deepak ji , aapka blog dekha aur aapke baare mein jana ,achchha laga, atankvaad ki sthiti sabhi samvedansheel hridayon ko jhakjhorti hai.. aapne us vyatha ko shabdon mein behatreen tareeke se bandha hai ..bahut bahut badhayi ..friends list mein aapko sthan de kar khushi hogi mujhe regards Mudita
दीपक भाई... कविता बहुत अच्छी लगी.... और आपका लेखन भी.... और हां! प्लीज़ हिंदी में लिखिए ना..... मुझे mailtomahfooz@gmail.com पर ज्वाइन करिए... बड़ा अच्छा लगेगा आपसे मिलकर....
Post a Comment