"TUM MERE KYA LAGTE HO"
Jab jab humne tumko dekha,
Tum apne se lagte ho,
Sang nahi par sath ho mere,
Tum mere kya lagte ho..
Apnon sa ho pyaar dikhate,
bahan sa ho adhikar jatate,
Bhai-Bandhu sa sath nibhate,
Sang humare chalte ho..
Tum mere kya lagte ho...
Sardi ki tum dhup ke jaise,
Rupmati ke rup ke jaise,
Eshwar ke swarup ke jaise..
Hruday main mere baste ho..
Tum mere kya lagte ho..
Swapnon main tum sang ho rahte,
Din bhar humse baaten karte,
Mere sang main tum ho hanste
Dukh mere tum harte ho..
Tum mere kya lagte ho..
Tum Eshwar ki krupa ke jaise,
Bimari main dawa ke jaise,
Lab par aayi dua ke jaise..
Sabse alag hi lagte ho..
Tum mere kya lagte ho..
'DEEPAK' ki jaise ho baati,
Sukh-dukh main mere tum sathi,
Koyal mrudu swar main jyon gaati,
Man ko mere harte ho..
Tum mere kya lagte ho..
Janm jo agla main jo paaun,
Tera mitr hi main ban jaun,
Hardam tera sath nibhaun,
Jaise tum sang rahte ho..
Tum mere kya lagte ho..
Aapki tippaniyon avam pyaar ka akankshi
Sadar..
DEEPAK SHUKLA..
7 comments:
wah wah deepak ji ! kitni premmayee kavita likhi hai..gazab ka flow..bahut sunder.
Badi khubsurat rachna hai ji…
Padhke aise laga jaise bhavnao ki chandni mein tarbatar ho gaye!!
Ek dua aapke liye..
“Allah kare zor-e-kalam aur ho zyaada!!
यही तो शास्वत प्रश्न है..."तुम मेरे क्या लगते हो?"....कुछ भी नहीं फिर भी सबकुछ लगते हो...
bahut khoobsurat rachna...mann ki abhivyakti kahati hui..
Janm jo agla main jo paaun,
Tera mitr hi main ban jaun,
Hardam tera sath nibhaun,
Jaise tum sang rahte ho..
Tum mere kya lagte ho..
har uss yakti ka yeh sapna hai, jisne jeewan mein kuch koya hai
jab saans toote in jahan se main payoon saath mitr ka uss jahan mein.
kuch rishton ke naam nahi hote phir bhi vo apne lagte hain
shubkamnayon ke saath
nira
National Park HikingIn the southern region, head to Carlsbad Caverns National Park for cave exploration and year-round hiking near several bed and breakfast establishments. [url=http://www.fillerobe.com]canada goose jacket[/url] Downloaded texts, ebook readers or even our smartphones can be the implement to access the text genres. [url=http://www.d2now.com]canada goose trillium[/url] Ffhhfinvp
[url=http://www.jacketstorontoonsale.com]review canada goose chateau[/url] Pbgdnjuus http://www.louboutinstoreuk.co.uk woeldzflc [url=http://www.cheapcanadagooseparkas.ca]canada goose outlet[/url]
billige uggs tnryuclp ugg norge nmkhwsbj ugg sko mmwxnreu ugg dhkyvyly uggs australia xwcnriqd uggs norge xhwddxmm uggs p? nett nyvnfyqc uggs sko tlxbyczs uggs sdbcupjf
Post a Comment